nigah-e-yar se hota hai wo KHumar mujhe
ki rut KHizan ki bhi lagne lage bahaar mujhe
fasil-e-ishq pe rakkha hua charagh hun main
hawa-e-hijr ka rahta hai intizar mujhe
judaiyan hain muqaddar to phir gale kaise
likhe hue pe tujhe hai na iKHtiyar mujhe
faqat zaban se na kah mujh ko zindagi apni
main zindagi hun tu achchhi tarah guzar mujhe
main aaina tha kabhi ab to sirf shisha hun
ye log dekhte rahte hain mere par mujhe

Ghazal
Nigah-e-yar se hota hai wo KHumar mujhe
Asif Rasheed Asjad