اردو हिंदी
Nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai | Shaahi Shayari
nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai

Ghazal

Nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai

Ezaz Afzal

;

nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai
zamin par aaj shaKH-e-ashiyan malum hoti hai

bulaya ja raha hai jaanib-e-dar-o-rasan hum ko
muqaddar mein hayat-e-jawidan malum hoti hai

nigahon mein hain kis ke aariz-e-gul-rang ke jalwe
ki duniya gulistan-dar-gulistan malum hoti hai

meri kashti ko shikwa bahr-e-be-payan ki tangi ka
tujhe ek aabju bhi be-karan malum hoti hai

pahunch kar aasman par bhi to dekho ai zamin walo
wahan se ye zamin bhi aasman malum hoti hai