nigah-e-arzu-amoz ka charcha na ho jae
shararat sadgi hi mein kahin ruswa na ho jae
unhen ehsas-e-tamkin ho kahin aisa na ho jae
jo hona ho abhi ai jurat-e-rindana ho jae
ba-zahir sadgi se muskura kar dekhne walo
koi kam-baKHt na-waqif agar diwana ho jae
bahut hi KHub shai hai iKHtiyari shan-e-KHuddari
agar mashuq bhi kuchh aur be-parwa na ho jae
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
ilahi dil-nawazi phir karen wo mai-farosh aankhen
ilahi ittihad-e-shisha-o-paimana ho jae
meri ulfat tajjub ho gai tauba maaz-allah
ki munh se bhi na nikle baat aur afsana ho jae
ye tanhai ka aalam chand taron ki ye KHamoshi
'hafiz' ab lutf hai ek nara-e-mastana ho jae
Ghazal
Nigah-e-arzu-amoz ka charcha na ho jae
Hafeez Jalandhari