nibhao ab use jo waza bhi bana li hai
wagarna dahr to ahl-e-wafa se KHali hai
harim-e-dil mein teri aarzu ne raushan ki
wo aag jis ne shab-e-zindagi ujali hai
teri nigah-e-karam hai wagarna ai gham-e-dost
zamana kya tere shaidaiyon se KHali hai
sitam hai meri taraf pyar se nazar na kare
wo but ki jis mein mere fan ne jaan Dali hai
baja ki husn ka ehsas hai fareb-e-nazar
magar wo naqsh jo dil mein hai kab KHayali hai
ufuq se gard chhaTe to KHabar mile shayad
sahar tulu hui hai ki hone wali hai
ab ahl-e-bazm gham-e-tirgi karen to karen
hamare pas to jo shama thi jalali hai
hawa ke dosh pe uDti hui KHabar to suno
hawa ki baat bahut dur jaane wali hai
Ghazal
Nibhao ab use jo waza bhi bana li hai
Hasan Akhtar Jaleel