اردو हिंदी
Ne gharaz kufr se rakhte hain na islam se kaam | Shaahi Shayari
ne gharaz kufr se rakhte hain na islam se kaam

Ghazal

Ne gharaz kufr se rakhte hain na islam se kaam

Sauda Mohammad Rafi

;

ne gharaz kufr se rakhte hain na islam se kaam
muddaa hum ko to saqi se hai aur jam se kaam

dil-e-nalan ko mere kis ke hai aaram se kaam
koi bechain raho apne use kaam se kaam

is chaman mein na kisi chashm se ponchhe koi ashk
subh tak hum ko bhi shabnam yahi hai sham se kaam

kyun na afi chale har ek jagah makDa kar
na paDa us ko teri zulf-e-siyah-fam se kaam

gar akela kahin mil jae hamein to dil ka
lije man-manta us shoKH-gul-andam se kaam

hun asir us ka jise baad-e-giraftari-e-said
na giraftar se matlab rahe ne dam se kaam

hai mubarra ye zaban kahne se ab ram o rahim
jin ne paya hai nishan us ko nahin nam se kaam

chashm-e-KHurshid ko ghurfe se tere din sarokar
raat hai dida-e-shabnam ko lab-e-baam se kaam

jo main aaghaz tere kaam ka dekha 'sauda'
wae wo din ki tujhe us ke ho anjam se kaam