اردو हिंदी
Ne aadmi pasand na isko KHuda pasand | Shaahi Shayari
ne aadmi pasand na isko KHuda pasand

Ghazal

Ne aadmi pasand na isko KHuda pasand

Imdad Akash

;

ne aadmi pasand na is ko KHuda pasand
hai aaine mein qaid mera aaina-pasand

do-chaar din bhi hum se nibahi nahin gai
wo mo'tadil mizaj tha main intiha pasand

wo KHud-fareb shaKHs tha patthar-shanas tha
aaya na us ko koi bhi apne siwa pasand

puchhe hai hum ne kahe kiya kufr iKHtiyar
ghaflat pasand hai na hamein aasra pasand

ghaugha-e-marg chaaron taraf phailne laga
kya is jahan ko chhoD gae baadiya-pasand

us par hi bhejta hai wo aafat bhi maut bhi
shayad use gharib ka bachcha hai na-pasand

aakash ek shaKHs hai duniya se muKHtalif
pahli nazar mein hi tumhein aa jaega pasand