nazar taj pe hai kya tamasha ka hajat
nahin sabz KHat aage champa ka hajat
tabiban karen munj kun baali sun daru
ki baali hain mohan hai baala ka hajat
hamin neshakar namne hilje hain band mein
nahin hor hamna kun jala ka hajat
KHumari nayan the khile phul jiw mein
nahin mo ko duna o baala ka hajat
mera dil hai zar-baft ka karKHana
nahin munj kun bazar wala ka hajat
tu kahniyan kitaban ke jiw mein likhya hun
muamma hai nin khol kahna ka hajat
anguThi sulaiman ki tuj hat mein hai
sikandar ke darpan ujala ka hajat
mera dil kundan husn ka khan hai tu
nahin hai sunari taqaza ka hajat
haman muddaa muddai na bujhe kuch
nako bahs karnin hai aada ka hajat
'maani' tera zar-gari kui na bujhen
ki is ilm mein nin hai dana ka hajat

Ghazal
Nazar taj pe hai kya tamasha ka hajat
Quli Qutub Shah