nazar se guftugu KHamosh lab tumhaari tarah
ghazal ne sikhe hain andaz sab tumhaari tarah
jo pyas tez ho to ret bhi hai chadar-e-ab
dikhai dur se dete hain sab tumhaari tarah
bula raha hai zamana magar tarasta hun
koi pukare mujhe be-sabab tumhaari tarah
hawa ki tarah main be-tab hun ki shaKH-e-gulab
lahakti hai meri aahaT pe ab tumhaari tarah
misal-e-waqt mein taswir-e-subh-o-sham hun ab
mere wajud pe chhai hai shab tumhaari tarah
sunate hain mujhe KHwabon ki dastan aksar
kahaniyon ke pur-asrar lab tumhaari tarah
Ghazal
Nazar se guftugu KHamosh lab tumhaari tarah
Bashir Badr