nazar se dur rahe ya nazar ke pas rahe
hamesha ishq ke mausam bahut hi KHas rahe
main tere zikr ki wadi mein sair karta rahun
hamesha lab pe tere nam ki miThas rahe
ye iztirab junun ko bahut akharta hai
ki tum qarib ho tan par koi libas rahe
wo ru-ba-ru the to aankhon se daur chal nikle
khuli na botalen KHali sabhi gilas rahe
ye baat raaz ki dadi ne hum ko batlai
hamari umr mein abba bhi dewdas rahe
main kahkashaon mein KHushiyan talashne nikla
mere sitare mera chand sab udas rahe
main muntazar hun kisi aise wasl ka jis mein
mere badan pe tere jism ka libas rahe
teri hayat se juD jaun waqia ban kar
teri kitab mein mera bhi iktisab rahe
Ghazal
Nazar se dur rahe ya nazar ke pas rahe
Siraj Faisal Khan