nazar pe baiTh gaya jo ghubar kis ka tha
dilon se kam na hua jo sharar kis ka tha
na koi shakl thi dil mein na lab pe nam koi
tamam umr mujhe intizar kis ka tha
mere liye to wo Thahra na ek pal-bhar ko
na jaane qafila-e-nau-bahaar kis ka tha
ye kis ke husn se yaadon ki ban gai taswir
dil-aine pe sunahra ghubar kis ka tha
paDe rahenge isi soch mein qayamat tak
hamare baad dil-e-be-qarar kis ka tha
KHayal-o-KHwab ki raaton se jo ubharta hai
wo ek nur badan ka nikhaar kis ka tha
wo adh-khula sa daricha wo chah ki KHushbu
mera nahin tha to phir intizar kis ka tha
ye kis ne shor-e-salasil ko naghmagi de hi
rah-e-wafa mein qadam bar bar kis ka tha
tumhaare jabr ki taid tha mera mansha
samajh mein aa na saka iKHtiyar kis ka tha
ye kis liye su-e-gul bhi nigah jati thi
tum aa chuke the to phir intizar kis ka tha
meri wafa ka bagula to ek tha lekin
mere siwa sar-e-sahra ghubar kis ka tha
bahut dinon se yahi ek sawal hai dil mein
jo main ne sab ko diya tha wo pyar kis ka tha
'munir' jab bhi chale koi rasta na mila
wajud-e-rahguzar eatibar kis ka tha

Ghazal
Nazar pe baiTh gaya jo ghubar kis ka tha
Syed Muneer