nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas mein sharar sa hai
main jaanta hun ki tum na aaoge phir bhi kuchh intizar sa hai
mere azizo mere rafiqo chalo koi dastan chheDo
gham-e-zamana ki baat chhoDo ye gham to ab sazgar sa hai
wahi fasurda sa rang-e-mahfil wahi tera ek aam jalwa
meri nigahon mein bar sa tha meri nigahon mein bar sa hai
kabhi to aao kabhi to baiTho kabhi to dekho kabhi to puchho
tumhaari basti mein hum faqiron ka haal kyun sogwar sa hai
chalo ki jashn-e-bahaar dekhen chalo ki zarf-e-bahaar jaanchen
chaman chaman raushni hui hai kali kali pe nikhaar sa hai
ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai

Ghazal
Nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas mein sharar sa hai
Saghar Siddiqui