nazar milate nahin muskurae jate hain
batao yun bhi kahin dil milae jate hain
hujum-e-jalwa-e-rangin ka muddaa malum
hamari tab-e-nazar aazmae jate hain
hijab ho magar aisa bhi kya hijab aaKHir
jhalak dikhate nahin munh chhupae jate hain
hudud-e-kucha-e-jaanan mein aa gae shayad
qadam qadam pe qadam Dagmagae jate hain
ye kis ka zikr hai ai 'taj' lab pe sham-o-sahar
ye kis ki yaad mein aansu bahae jate hain

Ghazal
Nazar milate nahin muskurae jate hain
Riyasat Ali Taj