nazar mila na sake us se is nigah ke baad
wahi hai haal hamara jo ho gunah ke baad
main kaise aur kis samt moDta KHud ko
kisi ki chah na thi dil mein teri chah ke baad
hawas ne toD di barson ki sadhna meri
gunah kya hai ye jaana magar gunah ke baad
zamir kanp to jata hai aap kuchh bhi kahen
wo ho gunah se pahle ki ho gunah ke baad
kaTi hui thin tanaben tamam rishton ki
chhupata sar main kahan tujh se rasm-o-rah ke baad
gawah chah rahe the wo be-gunahi ka
zaban se kah na saka kuchh KHuda gawah ke baad
Ghazal
Nazar mila na sake us se is nigah ke baad
Krishn Bihari Noor