اردو हिंदी
Nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen | Shaahi Shayari
nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen

Ghazal

Nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen

Mohsin Bhopali

;

nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen
baDha rahi hain nigahon ka hausla aankhen

jo dil mein aks hai aankhon se bhi wo chhalkega
dil aaina hai magar dil ka aaina aankhen

wo ek sitara tha jaane kahan gira hoga
KHala mein DhunD rahi hain na jaane kya aankhen

gham-e-hayat ne fursat na di Thaharne ki
pukarti hi rahi hain mujhe sada aankhen

ye us ka tarz-e-taKHatub bhi KHub hai 'mohsin'
ruka ruka sa tabassum KHafa KHafa aankhen