اردو हिंदी
Nazar mein ek jahan hai aur tamanna ka jahan wo bhi | Shaahi Shayari
nazar mein ek jahan hai aur tamanna ka jahan wo bhi

Ghazal

Nazar mein ek jahan hai aur tamanna ka jahan wo bhi

Majeed Akhtar

;

nazar mein ek jahan hai aur tamanna ka jahan wo bhi
jo tair-e-fikr hai rahta hai har-dam par-fishan wo bhi

zara Thahro ki paDh lun kya likha mausam ki barish ne
meri diwar par likhti rahi hai dastan wo bhi

mohabbat mein dilon par jaane kab ye saneha guzra
jagah shak ne bana li aur hamare darmiyan wo bhi

suno ai raftagan rahta nahin kuchh fasla itna
bas ek diwar baqi hai meri diwar-e-jaan wo bhi

jahan par na-rasai hi riyazat ka sila Thahre
hamein dil ne sikha rakkha hai ek kar-e-ziyan wo bhi

nae imkan ki jaanib safar mein jab taraddud ho
sada kanon mein aati hai sada-e-kun-fakan wo bhi

kisi dildar saat mein kisi mahbub lahje ka
dikhati hai tamasha aur meri umr-e-rawan wo bhi