nazar kar tez hai taqdir miTTi ki ki patthar ki
buton ko dekh hain taswir miTTi ki ki patthar ki
kiya tu ne buton ko sajda aadam ko farishton ne
barahman hai siwa tauqir miTTi ki ki patthar ki
main putla saKHt-jaani ka hun ya gard-e-kudurat ka
nahin malum hun taswir miTTi ki ki patthar ki
ghamon par KHak Dalon main ki rokun josh-e-wahshat ko
taraddud hai karun tadbir miTTi ki ki patthar ki
Ghazal
Nazar kar tez hai taqdir miTTi ki ki patthar ki
Rasheed lakhnavi

