nazar ka nashsha badan ka KHumar TuT gaya
ki ab wo aaina-e-e'tibar TuT gaya
bataen kya tumhein ab lamha-e-qarar ki baat
zara si der ko chamka sharar TuT gaya
koi KHayal hai sae ki tarah sath mere
akele-pan ka bhi mere hisar TuT gaya
shikast khai na main ne fareb duniya se
dil is nabard mein go bar bar TuT gaya
uTho ki aur koi rishta ustuwar karen
jise tha TuTna 'tariq' wo tar TuT gaya
Ghazal
Nazar ka nashsha badan ka KHumar TuT gaya
Tariq Butt