nazar ka mil ke Takrana na tum bhule na hum bhule
mohabbat ka wo afsana na tum bhule na hum bhule
sataya tha hamein kitna zamane ke taghayyur ne
zamane ka badal jaana na tum bhule na hum bhule
bhari barsat mein paiham judai ke tasawwur se
wo mil kar ashk barsana na tum bhule na hum bhule
bahaaren gulsitan ki ras jab hum ko na aai thin
KHizan se dil ka bahlana na tum bhule na hum bhule
guzarin kitni raaten gin ke tare dard-e-furqat mein
judai ka wo afsana na tum bhule na hum bhule
fareb-e-arzu khana hi fitrat hai mohabbat ki
fareb-e-arzu khana na tum bhule na hum bhule
hansi mein kaTti thin raaten KHushi mein din guzarta tha
'kanwal' mazi ka afsana na tum bhule na hum bhule
Ghazal
Nazar ka mil ke Takrana na tum bhule na hum bhule
kanval Dibaivi