nazar aati hai dur ki surat
aankh mein hai huzur ki surat
ek ye bhi hai nur ki surat
dekh li sham-e-tur ki surat
kyun na ho jaan ka azab ye jism
tang zindan qubur ki surat
sar-e-turbat koi hai fitna-e-hashr
hui paida futur ki surat
KHanqa mein pari thi shishe ki
ban ke aai jo hur ki surat
aa gaya kya su-e-qafas sayyaad
ho gai kya tuyur ki surat
phirti hai aankh mein ba-sad-hasrat
ab dil-e-na-subur ki surat
ek hai ek kibriyai mein
uf wo us ke ghurur ki surat
hashr-za uf wo sur ki aawaz
wo sarafil-o-sur ki surat
baDh talwar ki siraat ka pul
aur mushkil ubur ki surat
shoala-zar ek lala-zar hai ek
samne nar-o-nur ki surat
muztarib apne haal par har ek
hae har na-subur ki surat
fard-e-isyan nawishta-e-taqdir
hae har be-qusur ki surat
aas us ke karam ki qahr ka Dar
jo ho rabb-e-ghafur ki surat
ai main qurban shan-e-rahmat ke
nazar aai huzur ki surat
kis ko parwa-e-kausar-o-tasnim
hui paida surur ki surat
sadqe kya jald hashr mein badli
mujh sarapa qusur ki surat
ho mubarak siyahkar 'riyaz'
nur ki shakl nur ki surat
Ghazal
Nazar aati hai dur ki surat
Riyaz Khairabadi