nazar aate nahin hain bahr mein hum
yani rahte hain apni lahr mein hum
khul rahe hain bandhe hue pul se
ghul rahe hain KHud apne zahr mein hum
hai qafas bhi tilism-KHana-e-KHwab
aa gae ek aur shahr mein hum
kisi zindan mein sochna hai abas
dahr hum mein hai ya ki dahr mein hum
ho gai raat so len kuchh sardar
jag uTThenge pichhle pahr mein hum
hum hain maqtal mein aur qatil gham
kaise lae gae the qahr mein hum
ab jagaegi yaad us ki 'zafar'
chhoD aae jo nind nahr mein hum
Ghazal
Nazar aate nahin hain bahr mein hum
Sabir Zafar