nazar aane se pahle Dar raha hun
ki har manzar ka pas-manzar raha hun
mujhe hona paDega reza reza
main sar se panw tak patthar raha hun
kisi ko kyun main ye ezaz baKHshunga
main KHud apni hifazat kar raha hun
mujhi ko sruKH-ru hone ka haq hai
ki main apne lahu mein tar raha hun
mere ghar mein to koi bhi nahin hai
KHuda jaane main kis se Dar raha hun
main kya jaanun gharon ka haal kya hai
main sari zindagi bahar raha hun
talluq hai isi basti se mera
hamesha se magar bach kar raha hun
Ghazal
Nazar aane se pahle Dar raha hun
Ameer Qazalbash