nazakat hai na KHushbu aur na koi dilkashi hi hai
gulon ke sath phir bhi KHar ko rab ne jagah di hai
kisi ki yaad chupke se chali aati hai jab dil mein
kabhi ghunghru se bajte hain kabhi talwar chalti hai
wahi karte hain dawa aag nafrat ki bujhane ka
ki jin ke hath mein jalti hui machis ki tili hai
haTo karne do apne man ki bhi in naujawanon ko
ye in ka daur hai in ka samay hai in ki bari hai
ghuTan taDpan udasi ashk ruswai akela-pan
baghair in ke adhuri ishq ki har ek kahani hai
kabhi bachchon ko mil kar khilkhilate nachte dekha
laga tab zindagi ye hum ne kya se kya bana li hai
utar aae hain baadal yaad ke aankhon mein yun 'niraj'
zamin jo kal talak thi KHushk ab wo bhigi bhigi hai
Ghazal
Nazakat hai na KHushbu aur na koi dilkashi hi hai
Neeraj Goswami