naza ki saKHti baDhi un ko pasheman dekh kar
maut mushkil ho gai jine ka saman dekh kar
wo kabhi jab iltifat-e-naz se lete hain kaam
kanp jata hun main apne dil ke arman dekh kar
karte hain arbab-e-dil andaza-e-josh-e-bahaar
mera daman dekh kar mera gareban dekh kar
wo na agla baghban hai ab na agle ham-safir
yaad karta hun qafas ko main gulistan dekh kar
allah allah mujh sa aasi darKHur-e-rahmat hua
rashk-e-zahid to bhi hai ye qadr-e-isyan dekh kar
ai but-e-kafir maaz-allah ye tera shabab
koi kafir hi rahega ab musalman dekh kar
in buton ne mujh ko be-KHud kis qadar dhoke diye
sidha-sada jaan kar mard-e-musalman dekh kar
Ghazal
Naza ki saKHti baDhi un ko pasheman dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud