naya mazmun kitab-e-zist ka hun
nihayat ghaur se socha gaya hun
sunen mujh ko to main dhaDkan hun dil ki
nahin sunte to sahra ki sada hun
meri jaanib koi aae to puchhun
nishan-e-rah hun manzil hun kya hun
kisi ko kya bataun kaun hun main
ki apni dastan bhula hua hun
KHud apni did se andhi hain aankhen
KHud apni gunj se bahra hua hun
meri sairabiyon mein tishnagi hai
ki main dariya hun lekin ret ka hun
wo ran mujh mein paDa hai KHair o shar ka
ki apni zat mein ek karbala hun
mera sina hai chhalni nai ki surat
inhin zaKHmon se main naghma-sara hun
mujhe shabnam ka aaina mila hai
isi mein gul ki surat dekhta hun
meri maujudgi se bandagi hai
ki jab se gum hua hun main KHuda hun

Ghazal
Naya mazmun kitab-e-zist ka hun
Saleem Ahmed