naya labaada purani nishaniyan na gain
faqih-e-shahr ki resha-dawaniyan na gain
saron pe taj na un ke ghulam gardish mein
magar dimagh se kyun rajdhaniyan na gain
bahut kashid kiya paniyon ko suraj ne
samundaron ki magar be-karaniyan na gain
fareb khane ke ba-wasf bhi kisi lamhe
dil-e-tabah teri KHush-gumaniyan na gain
tumhaari or se kya mutmain nahin the hum
tumhaari or se kyun bad-gumaniyan na gain

Ghazal
Naya labaada purani nishaniyan na gain
Jahangeer Imran