naya ek rishta paida kyun karen hum
bichhaDna hai to jhagDa kyun karen hum
KHamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyun karen hum
ye kafi hai ki hum dushman nahin hain
wafa-dari ka dawa kyun karen hum
wafa iKHlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyun karen hum
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhaari hi tamanna kyun karen hum
kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
to sari umr ifa kyun karen hum
nahin duniya ko jab parwa hamari
to phir duniya ki parwa kyun karen hum
ye basti hai musalmanon ki basti
yahan kar-e-masiha kyun karen hum
Ghazal
Naya ek rishta paida kyun karen hum
Jaun Eliya