nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin
ye be-dili hai ki ab intizar bhi to nahin
jo bhul jae koi shaghl-e-jam-o-mina mein
gham-e-habib gham-e-rozgar bhi to nahin
mariz-e-baada-e-ishrat ye ek jahan kyun hai
surur-e-baada ba-qadr-e-KHumar bhi to nahin
mata-e-sabr-o-sukun jis ne dil se chhin liya
wo dil-nawaz ada-ashkar bhi to nahin
qafas mein ji mera lag to nahin gaya hamdam
ki ab wo nala-e-be-iKHtiyar bhi to nahin
hai ain wasl mein bhi pur-KHarosh-e-parwana
sukun-e-qalb ba-aghosh-e-yar bhi to nahin
nigah-e-naz ki be-gana-e-mohabbat hai
sitam to ye hai ki be-gana-war bhi to nahin
wo ek rahbar-e-nadan ki jis ko ishq kahen
Dubo ke kashti-e-dil sharmsar bhi to nahin
junun ko dars-e-amal de ke kya kare koi
ba-qadr-e-hausla-e-dil bahaar bhi to nahin
Ghazal
Nawed-e-amad-e-fasl-e-bahaar bhi to nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui