اردو हिंदी
Nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha | Shaahi Shayari
nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha

Ghazal

Nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha

Faragh Rohvi

;

nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha
ye jurm main ne bas ek bar karna chaha tha

jo but banaunga tera to hath honge qalam
ye jaante hue jurmana bharna chaha tha

baghair us ke bhi ab dekhiye main zinda hun
wo jis ke sath kabhi main ne marna chaha tha

shab-e-firaq ajal ki thi aarzu mujh ko
ye roz roz to main ne na marna chaha tha

kashid itr kiya ja raha hai ab mujh se
ki mushk ban ke faza mein bikharna chaha tha

us ek baat pe naraaz hain sabhi suraj
ki main ne un sa ufuq par ubharna chaha tha

laga raha hai jo sharten meri uDanon par
mere paron ko usi ne katarna chaha tha

usi taraf hai zamana bhi aaj mahw-e-safar
'faragh' main ne jidhar se guzarna chaha tha