nawah-e-jaan mein kahin abtari si lagti hai
sukun ho to ajab bekali si lagti hai
ek aarzu mujhe kya kya fareb deti hai
bujhe charagh mein bhi raushni si lagti hai
gai ruton ke tasarruf mein aa gaya shayad
ab aansuon mein lahu ki kami si lagti hai
usi ko yaad dilata hai bar bar dimagh
wo ek baat jo dil mein ani si lagti hai
ki roz ek naya gul khilati rahti hai
ye kaenat kisi ki gali si lagti hai
kabhi to lagta hai gumrah kar gai mujh ko
suKHan-wari kabhi paighambari si lagti hai
janab-e-shaiKH ki mahfil se uTh chalo ki 'suhail'
yahan to nabz-e-do-alam ruki si lagti hai
Ghazal
Nawah-e-jaan mein kahin abtari si lagti hai
Suhail Ahmed Zaidi