اردو हिंदी
Nau-giraftar-e-qafas hun mujhe kuchh yaad nahin | Shaahi Shayari
nau-giraftar-e-qafas hun mujhe kuchh yaad nahin

Ghazal

Nau-giraftar-e-qafas hun mujhe kuchh yaad nahin

Zaheer Dehlvi

;

nau-giraftar-e-qafas hun mujhe kuchh yaad nahin
lab pe shewan nahin nala nahin fariyaad nahin

naznin koi nai baat to paida ho kabhi
zulm mein lutf hi kya hai agar ijad nahin

main bashar hun mere milne mein burai kya hai
aap kuchh hur nahin aap pari-zad nahin

wae taqdir ki jab KHugar-e-azar hue
wo ye farmate hain hum mail-e-bedad nahin