nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai
hamari KHak se dekho to kuchh raha bhi hai
tera ghurur mera ijz ta kuja zalim
har ek baat ki aaKHir kuchh intiha bhi hai
jale hai shama se parwana aur main tujh se
kahin hai mehr bhi jag mein kahin wafa bhi hai
KHayal apne mein go hun tarana-sanjaan mast
karahne ke dilon ko kabhi suna bhi hai
zaban-e-shikwa siwa ab zamane mein haihat
koi kisu se baham digar aashna bhi hai
sitam rawa hai asiron pe is qadar sayyaad
chaman chaman kahin bulbul ki ab nawa bhi hai
samajh ke rakhiyo qadam KHar-e-dasht par majnun
ki is nawah mein 'sauda' barhana-pa bhi hai
Ghazal
Nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai
Sauda Mohammad Rafi