nashshe mein ji chahta hai bosa-bazi kijiye
itni ruKHsat dijiye banda-nawazi kijiye
chahiye jo kuchh so ho pahle hi sajde mein husul
aap ko gar kaba-e-dil ka namazi kijiye
jis ne ek jalwa ko dekha ji diya parwana-war
is qadar ai shama-ruyan husn-sazi kijiye
nardban kahte hain hai baam-e-haqiqat ka majaz
chand roz is waste ishq-e-majazi kijiye
KHwahish-e-raushan-dili gar howe shab se ta-sahar
shama-san 'bedar' ro ro jaan-gudazi kijiye
Ghazal
Nashshe mein ji chahta hai bosa-bazi kijiye
Meer Mohammadi Bedar