nashili chhanw mein bite hue zamanon ko
laga do aag ajal ke nigar-KHanon ko
bata rahe hain jabin-e-hayat ke tewar
panah mil nahin sakti ab aastanon ko
diye jalao ki insaniyat ne toD diya
jahan-e-zar ke ru-pahle tilism-KHanon ko
har ek gam pe mashal dikha rahi hai hayat
sitam ki aanch mein nikhre hue zamanon ko
hazar dar-o-rasan Dagmaga nahin sakte
ajal ki god mein khele hue jawanon ko
bahut qarib hai wo daur KHush-gawar ki jab
nigar-e-amn sajaegi kar-KHanon ko
KHud aage baDh ke qadam chumti hai manzil-e-shauq
ye kis ne rah dikhai hai karwanon ko

Ghazal
Nashili chhanw mein bite hue zamanon ko
Arshi Bhopali