nashe mein sahwan kar li tauba
aisi bholi ilahi tauba
haj mein jab yaad aain wo aankhen
taq-e-haram par rakh di tauba
waizon se rindon mein aai
phirti hai bahki bahki tauba
qasmen kha kar phir se pina
munh ka niwala Thahri tauba
dam mein phansa mauja-e-mai ne
ek jhaTke mein TuTi tauba
bahr-e-gunah se par utara
kashti-e-rahmat Thahri tauba
pi ke 'munir' ab baada-e-kausar
mast hui hai meri tauba
Ghazal
Nashe mein sahwan kar li tauba
Muneer Shikohabadi

