اردو हिंदी
Nashe ki aag mein dekha gulab yani tu | Shaahi Shayari
nashe ki aag mein dekha gulab yani tu

Ghazal

Nashe ki aag mein dekha gulab yani tu

Mehshar Afridi

;

nashe ki aag mein dekha gulab yani tu
badan ke jam mein desi sharab yani tu

hamare lams ne sab tar kas diye us ke
wo jhanjhananey ko bekal rabab yani tu

har ek chehra nazar se chakha hua dekha
har ek nazar se achhuta shabab yani tu

safed qalamen huin to siyah-zulf mili
ab aisi umr mein ye inqalab yani tu

mai KHud hi apni nigahon ki dad deta hun
hazar chehron mein ek intiKHab yani tu

mile mile na mile nekiyon ka phal mujh ko
KHuda ne de diya mujh ko sawab yani tu

gudaz jism kamal honT marmari bahen
meri tabiat pe likkhi kitab yani tu

main tere ishq se pahle gunah karta tha
mujhe diya gaya dilkash azab yani tu