nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae
magar kyun haarne wale mohabbat kar nahin pae
mudawa kis tarah hoga wahan zangar-e-wahshat ka
agar kuchh aaine hum ne sitaron par nahin pae
fasil-e-shahr se aage zara sa dasht khiska tha
aur is ke baad logon ne bahut se ghar nahin pae
sukut-e-marg kya TuTe ki hum ne shahar se bahar
daraKHton mein parinde bhi ziyaada-tar nahin pae
kisi ne faqr se apne KHazane bhar liye lekin
kisi ne shahryaron se bhi sim-o-zar nahin pae
dayar-e-ishq ke paudon mein ab bhi phul aate hain
ki hum ne bhik mein 'sajid' kabhi aKHgar nahin pae
Ghazal
Nashat-e-fath se to daman-e-dil bhar nahin pae
Ghulam Husain Sajid