nashat-e-arzu ka aur kya anjam likkhunga
use bhi ik-na-ik din hasrat-e-nakaam likkhunga
meri rudad-e-dil ki ibtida tum intiha bhi tum
tumhaara tazkira kaise barae-nam likhunga
qalam ki raushnai jaane kya ilzam de mujh ko
main apni subh ke auraq par jab sham likkhunga
kitab-e-ishq jab bhi zindagi likhwaegi mujh se
wafa ke bab mein pahle tumhaara nam likkhunga
teri furqat mein khoya main teri qurbat mein kya paya
na ye taklif likkhunga na wo aaram likkhunga
meri subhen KHafa hon ya hon bargashta meri shamen
diya hai dopahar ne jo mujhe inam likkhunga
sar-e-mizhgan jo aKHtar ban ke chamke the 'naim-aKHtar'
main apni zindagi un aansuon ke nam likkhunga

Ghazal
Nashat-e-arzu ka aur kya anjam likkhunga
Naeem Akhtar