اردو हिंदी
Narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai | Shaahi Shayari
narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai

Ghazal

Narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai

Aziz Hamid Madni

;

narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai
ai ham-safir aatish-e-gul tez abhi se hai

ek taza-tar sawad-e-mohabbat mein le chali
wo bu-e-pairahan ki junun-KHez abhi se hai

ek KHwab-e-tairan-e-bahaaran hai us ki aankh
tabir-e-abr-o-baad se labrez abhi se hai

shab-tab abhi se us ki qabaon ke rang hain
ek dastan jabin-e-guhar-rez abhi se hai

guzri hai ek rau mizha-e-KHwab-nak ki
dil mein lahu ka rang bahut tez abhi se hai

aaina le ke kho gai umr-e-nawa-KHiram
taza-e-ruKHi ka moD bala-KHez abhi se hai

mubham se ek KHwab ki tabir ka hai shauq
nindon mein baadalon ka safar tez abhi se hai

ek taza mohr-e-lab se junun mangta hai naqsh
jumbish labon ki silsila-amez abhi se hai

shayad ki mahramana bhi uTThe teri nigah
waise teri nigah dil-awez abhi se hai