اردو हिंदी
Narm lahje mein tahammul se zara baat karo | Shaahi Shayari
narm lahje mein tahammul se zara baat karo

Ghazal

Narm lahje mein tahammul se zara baat karo

Rafique Khayal

;

narm lahje mein tahammul se zara baat karo
phir ba-sad-shauq sar-e-am mujhe mat karo

ya nisar aaj karo mujh pe tamam apne hunar
ya nazar-band mere sare kamalat karo

main riwayat se baghi to nahin hun lekin
tum se mumkin ho to tabdil-e-KHayalat karo

ek muddat se mere dil ka nagar hai viran
aao is dasht pe tum phulon ki barsat karo

fasl ujalon ki siyah-baKHt zamin uglegi
zar-nigar apne zara kashf-o-karamat karo

is tarah mil ke bichhaDna to qayamat hoga
mushtail tum na meri jaan mere jazbaat karo

be-niyazi to mila karti hai duniya se 'KHayal'
tum kisi taur na tajdid-e-gham-e-zat karo