اردو हिंदी
Naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena | Shaahi Shayari
naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena

Ghazal

Naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena

Iqbal Azeem

;

naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena
ye buzurgon ki amanat hai ganwa mat dena

wo jo razzaq-e-haqiqi hai usi se mango
rizq bar-haq hai kahin aur sada mat dena

bhik mango bhi to bachchon se chhupa kar mango
tum bhikari ho kahin un ko bata mat dena

subh-e-sadiq mein bahut der nahin hai lekin
kahin ujlat mein charaghon ko bujha mat dena

main ne jo kuchh bhi kaha sirf mohabbat mein kaha
mujh ko is jurm-e-mohabbat ki saza mat dena