naqsh ki tarah ubharna bhi tumhi se sikha
rafta rafta nazar aana bhi tumhi se sikha
tum se hasil hua ek gahre samundar ka sukut
aur har mauj se laDna bhi tumhi se sikha
achchhe sheron ki parakh tum ne hi sikhlai mujhe
apne andaz se kahna bhi tumhi se sikha
tum ne samjhae meri soch ko aadab adab
lafz o mani se ulajhna bhi tumhi se sikha
rishta-e-naz ko jaana bhi to tum se jaana
jama-e-faKHr pahanna bhi tumhi se sikha
chhoTi si baat pe KHush hona mujhe aata tha
par baDi baat pe chup rahna tumhi se sikha
Ghazal
Naqsh ki tarah ubharna bhi tumhi se sikha
Zehra Nigaah