naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua
ja ke tab koi masihai pe majbur hua
par parwaz bhi tab tak na khule the jab tak
baiTh jaane ki thakan se na badan chur hua
din ki chhalni mein tera lamha-e-fursat chhane
dil to lagta hai isi kaam pe mamur hua
daman-e-dost hai ek zehn ke pardon mein kahin
jis qadar hath baDhaya hai so wo dur hua
kabhi be-samt na hone ki dua mangi thi
kasrat-e-samt se rasta mera mamur hua
chiKHna chahti hun chiKH nahin pati hun
KHwab hota tha haqiqat ko bhi manzur hua
Ghazal
Naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua
Saima Esma