naqsh dil se na miTa zarra barabar us ka
sabt hai aaj bhi diwar pe paikar us ka
main ne sahil se use Dubte dekha tha faqat
mujhe gharqab karega yahi manzar us ka
aks bhi dida-e-qatil mein lahu ban ke raha
qatl ho kar bhi jama rang barabar us ka
karb-e-tanhai zara ruh se nikle to sahi
muntazir hai koi is dasht ke bahar us ka
ja chuka wo to samundar ki tahon mein 'midhat'
baiTh kar ret pe ab nam likha kar us ka
Ghazal
Naqsh dil se na miTa zarra barabar us ka
Midhat-ul-Akhtar