naKHl-e-dua kabhi jab dil ki zamin se nikle
sae bhi kuchh guman ke barg-e-yaqin se nikle
nazren jamae rakhna ummid ke khanDar par
mumkin hai ab ke suraj us ki jabin se nikle
KHud se farar itna aasan bhi nahin hai
sae karenge pichha koi kahin se nikle
zaKHmi ana ko yun main har bar chheDta hun
musbat sa ek ishaara shayad kahin se nikle
ungli mein jab bhi us ne angushtari ghumai
kya kya hasin paikar aks-e-nagin se nikle
Ghazal
NaKHl-e-dua kabhi jab dil ki zamin se nikle
Shoaib Nizam