nairangi-e-KHayal pe hairat nahin hui
mujh ko kisi kamal pe hairat nahin hui
meri tabah-haali ko bhi dekh kar use
hairat hai mere haal pe hairat nahin hui
puchha tha main ne jab use kya mujh se ishq hai?
us ko mere sawal pe hairat nahin hui
dekha jo ek umr ke baad us ne aaina
KHud apne KHad-o-KHal pe hairat nahin hui
ek umr se main rafta-e-raftar-e-yar hun
mujh ko ram-e-ghazal pe hairat nahin hui
aaKHir ghurub hona hi tha aaftab-e-umr
mujh ko mere zawal pe hairat nahin hui
wo shaKHs is jahan ka tha hi nahin kabhi
'sahir' ke intiqal pe hairat nahin hui

Ghazal
Nairangi-e-KHayal pe hairat nahin hui
Parvez Sahir