nain to bar bar bhar jaen
kaise naghme bahaar ke gaen
tera ehsas kho gaya hum se
ab tujhe DhunDne kahan jaen
hath apne lahuluhan hue
ranjishen aur kitni sahlaen
reshmi tar se bandhi thin magar
TuTti hi nahin hain aashaen
aap ke KHun ka rang dekh liya
ab ada-kariyan na dikhlaen
hum mohabbat ke ho liye sahab
aap apni dukan par jaen
Ghazal
Nain to bar bar bhar jaen
Neena Sahar