nai zamin na koi aasman mangte hain
bas ek gosha-e-amn-o-aman mangte hain
kuchh ab ke dhup ka aisa mizaj bigDa hai
daraKHt bhi to yahan saeban mangte hain
hamein bhi aap se ek baat arz karna hai
par apni jaan ki pahle aman mangte hain
qubul kaise karun un ka faisla ki ye log
mere KHilaf hi mera bayan mangte hain
hadaf bhi mujh ko banana hai aur mere harif
mujhi se tir mujhi se kaman mangte hain
nai faza ke parinde hain kitne matwale
ki baal-o-par se bhi pahle uDan mangte hain
Ghazal
Nai zamin na koi aasman mangte hain
Manzoor Hashmi