nai nai aankhen hon to har manzar achchha lagta hai
kuchh din shahr mein ghume lekin ab ghar achchha lagta hai
milne-julne walon mein to sab hi apne jaise hain
jis se ab tak mile nahin wo akasr achchha lagta hai
mere aangan mein aae ya tere sar par choT lage
sannaTon mein bolne wala patthar achchha lagta hai
chahat ho ya puja sab ke apne apne sanche hain
jo maut mein Dhal jae wo paikar achchha lagta hai
hum ne bhi so kar dekha hai nae purane shahron mein
jaisa bhi hai apne ghar ka bistar achchha lagta hai
Ghazal
Nai nai aankhen hon to har manzar achchha lagta hai
Nida Fazli