اردو हिंदी
Nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale | Shaahi Shayari
nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale

Ghazal

Nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale

Basit Bhopali

;

nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale
tumhein kab dekhte hain kufr-o-iman dekhne wale

KHuda rakkhe tere gham ka bahut nazuk zamana hai
sahar dekhen na dekhen sham-e-hijran dekhne wale

ye kis ne la ke rakh di samne taswir mahshar ki
abhi chaunke hi the KHwab-e-pareshan dekhne wale

kahan tak aaina-dar-e-tajalliyat-e-KHud-bini
ye parda bhi ulaT de o dil-o-jaan dekhne wale

ye diwane sujud-e-shauq ki azmat ko kya jaanen
mujhe kya paen farq-e-kufr-o-iman dekhne wale

kabhi girdab se bhi khel maujon se bhi Takra ja
are sahil pe rah kar josh-e-tufan dekhne wale

tere qurban 'basit' aur 'basit' ki har ek duniya
bahaar-e-wahshat-e-ashufta-haalan dekhne wale