nahin tha zaKHm to aansu koi saja leta
kisi bahane gham-e-abru bacha leta
KHabar na thi ki siyahi ka jal phailega
lahu ki aag sar-e-sham hi jala leta
zaban pe harf bhi aaya junun ka patthar bhi
main be-libas tha kis kis ka aasra leta
jaga diya tha dukhon ke julus ne warna
main aaj daman-e-shab-tab se hawa leta
palaT gaya koi lamha ThiThak gae hain qadam
koi jo sath nibhata meri dua leta
ye kal ki baat nahin aaj ki kahani hai
wo aaj zaKHm na hota to main chhupa leta
na jaane kaun si manzil mera makan hoti
ki main wajud ki gaThri agar uTha leta

Ghazal
Nahin tha zaKHm to aansu koi saja leta
Rasheed Nisar